Bistar Par Beemar Pare The



 

Urdu Poetry, Romantic Poetry, Shayari, Love,


Bistar Par Beemar Pare The,
.
Halki Si Aawaz Me Bole,
Beta Kal Kya Mangal Hoga?,
.
Gardan More Bin Main Bola,
Baba Kal To Budh Ka Din Hai,
.
Baba Jani Sun Na Paye,
Phir Se Poocha Kal Kya Din Hai?,
.
Thori Gardan Mor Ke Mene,
Lehje Me Kuch Zehar Mila Ke,
.
Munh Ko Kaan Ke Seedh Me La Ke,
Dahaar Ke Bola "Budh Hai Baba ! Budh Hai Baba!",
.
Aankho Me Do Moti Chamke,
Sookhe Se Do Hont Bhi Larze,
.
Lehje Me Kuch Shahad Mila Ke,
Baba Bole Baitho Beta,
.
Choro Din Ko Din Hain Poore,
Tum Me Mera Hissa Sun Lo,
Bachpan Ka Ek Qissa Sun Lo,
.
Yehi Jagah Thi Main Tha Tum The,
Tumne Poocha,
Rang Birangi Phoolo Par Urne Wali,
Iska Naam Btao Baba,
.
Gaal Pe Bosa Deke Maine,
Pyaar Se Bola Titli Beta,
.
Tune Pucha Kya Hai Baba?,
Me Phir Bola Titli Beta,
.
Titli Titli Kehte Sunte,
Ek Mahina Pura Guzra,
.
Ek Mahina Pooch Ke Beta,
Titli Kehna Tune Seekha,
.
Har Ek Naam Jo Seekha Tune,
Kitni Baar Wo Poocha Tune,
.
Tere Bhi To Daant Nahi The,
Mere Bhi Ab Daant Nahi Hai,
.
Tere Pas To Baba The Na,
Baate Karte Karte Tu To,
Thak Ke God Me So Jata Tha,
.
Tere Paas To Baba The Na,
Mere Paas To Beta Hai Na,
.
Boorhe Se Is Bache Ki Bhi,
Baba Hote, Sun Bhi Lete,
.
Tere Pas To Baba The Na,
Mere Paas To Beta Hai Na,,
.
Mere Pass To Beta Hai Na.
Baba Jani Karvat Lekar,