ho skta hai woh milne k liyh ajaye
ho sakta hai woh mujh ko awaz lga jaye
ho skta hai k usko pachtawa ho
ho skta hai k apni ghalti maan jaye
ho sakta hai k usko yaad aye k usne bewafai ki hai
ho sakta hai k usko yaad aye k woh gunahgaar haii
ho skta hai k usko yaad aye k woh makaar haii
ho skta hai k usko yaad aye k uski wjha sy yeh halat hai
ho skta hai k usko yaad aye k yeh zindagi ni zalalat hai
meri qabar ki mati kachii rkha
ho skta hai k woh milne ajaye "
meri qabar ko kachi rakhna pakki mat krwana
Mujhy Chor Kar Woh Chala Gya
" wo jise samajhta tha zindagi
meri dharkanoo ka fareb tha
muje muskurana sikha k woh
meri rooh tak ko rula gaya
wo k jis ko paney ki chaha mein
mein kabhi khilta gulab tha
meri pati pati bikhar gayii
muje aisi thokar laga gaya
ajeeb shakhs tha wo ay zindagi
jise samaj k bhi na samajh saka
muje chahta bhi ghazab ka tha
muje chor kar bhi chala gaya "
Mujhy Chor Kar Woh Chala Gya
Muhabbaton Main Har Aik Lamha Visaal Hoga
" muhabbaton mein har aik lamha visaal hoga yeh teh hua tha
bechar ky bhi aik dusry ka khayal hoga yeh teh hua tha
yeh kya keh saansein okhar gyi hein safar ky aghaz mein hi yaro
koi bhii thak ky na rashty mein nidhaal hoga yeh teh hua tha
wohi hua na badalty mosaamon mein tum ne humko bhula diya hai
koi bhi rutt ho na chahaton ko zawal hoga yeh teh hua tha
juda hua hein toh kya hua hai yehi toh dastoor zindagai hai
judayein mein na qurbton ka malal hoga yeh teh hua tha
chalo keh faizan kashtiyon ko jala dein gumnam sahilon par
keh ab yahan se na wapsi ka sawal hoga yeh teh hua tha "
Muhabbaton Main Har Aik Lamha Visaal Hoga
" Honton Pe Sahilon Ki Tarah Tishnagi Rahi.. Main Chup Huwa To Meri Ana Cheekhti Rahi.. Ek Naam Kya Likha Tera Sahil Ki Rait Pe.. Phir Umar Bhar Hawa Se Meri Dushmani Rahi.. Sarkon Pe Sard Raat Rahi Mere Hamsafar.. Aankhon Mein Mere Saath Thakan Jaagti Rahi.. Yaadon Se Khelti Rahi Tanhayi Raat Bhar.. Khushboo Ke Intezaar Mein Shab Bheegti Rahi.. Wo Lafz Lafz Mujh Pe Utarta Raha Mohsin.. Sochon Pe Uss Ke Naam Ki Takhti Lagi Rahi "