Showing posts with label best urdu lines. Show all posts
Showing posts with label best urdu lines. Show all posts



poetry, sad poetry, urdu poetry, saraiki poetry, phusto poetry, ghazals, motivation quotes, lyrics, quotes, shayari, romantic, love, anso, ankhein,

Bahut Muddat Se Aisa Hai,
Ke Tum Khamosh Rehty Ho .

Koi gehra hai ghum shayad,
Jise chup chap sehta hai.

Youn hi chalte hue tanha,
Koi ghamgheen sa nagma.

Tum aksar gun gunata hai,
Milaye nazron se jab nazrain.

To baatain bhool jaty ho,
Kisi gum sum si halat mein..

Ya phir barish k mausam me,
Faqat itna hi kehta hai.

Udaasi be-waja si hai,
Bohat bojhal tabiyat hai.

Bhala sach q nahi kehty,
Ksi ko yaad krte ho.

Bahut Muddat Se Aisa Hai,
Ke Tum Khamosh Rehty Ho.




 

Bahut Muddat Se Aisa Hai



 

Urdu Poetry, Romantic Poetry, Shayari, Love,


Bistar Par Beemar Pare The,
.
Halki Si Aawaz Me Bole,
Beta Kal Kya Mangal Hoga?,
.
Gardan More Bin Main Bola,
Baba Kal To Budh Ka Din Hai,
.
Baba Jani Sun Na Paye,
Phir Se Poocha Kal Kya Din Hai?,
.
Thori Gardan Mor Ke Mene,
Lehje Me Kuch Zehar Mila Ke,
.
Munh Ko Kaan Ke Seedh Me La Ke,
Dahaar Ke Bola "Budh Hai Baba ! Budh Hai Baba!",
.
Aankho Me Do Moti Chamke,
Sookhe Se Do Hont Bhi Larze,
.
Lehje Me Kuch Shahad Mila Ke,
Baba Bole Baitho Beta,
.
Choro Din Ko Din Hain Poore,
Tum Me Mera Hissa Sun Lo,
Bachpan Ka Ek Qissa Sun Lo,
.
Yehi Jagah Thi Main Tha Tum The,
Tumne Poocha,
Rang Birangi Phoolo Par Urne Wali,
Iska Naam Btao Baba,
.
Gaal Pe Bosa Deke Maine,
Pyaar Se Bola Titli Beta,
.
Tune Pucha Kya Hai Baba?,
Me Phir Bola Titli Beta,
.
Titli Titli Kehte Sunte,
Ek Mahina Pura Guzra,
.
Ek Mahina Pooch Ke Beta,
Titli Kehna Tune Seekha,
.
Har Ek Naam Jo Seekha Tune,
Kitni Baar Wo Poocha Tune,
.
Tere Bhi To Daant Nahi The,
Mere Bhi Ab Daant Nahi Hai,
.
Tere Pas To Baba The Na,
Baate Karte Karte Tu To,
Thak Ke God Me So Jata Tha,
.
Tere Paas To Baba The Na,
Mere Paas To Beta Hai Na,
.
Boorhe Se Is Bache Ki Bhi,
Baba Hote, Sun Bhi Lete,
.
Tere Pas To Baba The Na,
Mere Paas To Beta Hai Na,,
.
Mere Pass To Beta Hai Na.
Baba Jani Karvat Lekar,



Bistar Par Beemar Pare The

 

Urdu Poetry, Romantic Poetry, Shayari, Love,


Ek Cup Chai ایک کپ چائے


Kabhi fursat mile toh aana 
Ek cup chai piyenge sath baith kar 
Haan saare naqab utaar kar aana 
Apni kamyabiyon ko bhool jaana 
Kya khoya kya paya, mat sunana 
Voh geet yaad ho toh zaroor gungunana 
Voh mitti ki saundhi mehak bikhrana 
Kuchh pal ko bachpan mei kho jaana 
Kar pao agar toh hi aana 
Intezar rahega tumhara 
Bas ek hi dar hai 
Kahin umar na gujar jaye 
Logon ko benaqab hote maine dekha nahi aaj tak




Ek Cup Chai ایک کپ چائے

Mujhse Kiyeh Wady Jab


Lyrics :

" Mujhse Kiyeh Wade Jab
Woh Ksi Aur Se Karta Hoga
Haaye Mujhy Yaad Toh Krta Hoga " 😢




Mujhse Kiyeh Wady Jab

 

Urdu Poetry, Romantic Poetry, Shayari, Love,


Lyrics :

Gham Koi Bhi Ho 😢
Khushi Tum Hi Ho 😍



Gham Koi Bhi Ho 😢

Urdu Poetry, Romantic Poetry, Shayari, Love,


Lyrics :

" Raste Mai Mil Gaya To Sharik-e-Safar Na Jaan
Jo Chaon Meharban Ho Use Apna Ghar Na Jaan
"

Raste Mai Mil Gaya To Sharik-e-Safar Na Jaan

Urdu Poetry, Romantic Poetry, Shayari, Love, Ilm

Lyrics :

Ziyada ilm Seekhne 📕
Sy Behtr Hai
Thora Sa Adab Seekh
Liya Jaye

Ziyada ilm Seekhne 📕 Sy Behtr Hai

poetry, sad poetry, urdu poetry, saraiki poetry, phusto poetry, ghazals, motivation quotes, lyrics, quotes, shayari, romantic, love, anso, ankhein,


" Aik Tarf Tere Husn Ki Hairat 
Aik Tarf Dunya
.
Aur Dunya Mein Dair Talak 
Thehra Nahi Ja Sakta  "

Aik Tarf Tere Husn Ki Hairat Aik Tarf Dunya

poetry, sad poetry, urdu poetry, saraiki poetry, phusto poetry, ghazals, motivation quotes, lyrics, quotes, shayari, romantic, love, anso, ankhein,



" Meri Sajdoon Ke Taslsul Ko 
Tu Kia Jane Ae Ham Nishain
.
Sir Jukta Tu Tuje Manga Hath 
Uthaya Tu Tuje Manga "

Meri Sajdoon Ke Taslsul Ko Tu Kia Jane Ae Ham Nishain

poetry, sad poetry, urdu poetry, saraiki poetry, phusto poetry, ghazals, motivation quotes, lyrics, quotes, shayari, romantic, love, anso, ankhein,



" Itnein Saastey Kahan They Hum
   Bus Teray Wastey Riayaat Thee "

Itnein Saastey Kahan They Hum